sunata kya main use taqat-e-bayan na thi
sunātā kyā maiñ use tāqat-e-bayān na thī
kuchh aisī vaisī mohabbat kī dāstān na thī
tire sivā koī is ghar meñ kis tarah aatā
dil-e-figār thā kañjare kī ye dukān na thī
vo sang-e-ka.aba jo ik bosa-gāh-e-ālam hai
kahīñ tumhāre hī ghar kī to āstān na thī
jināñ meñ dekh ke hūreñ tū kyoñ na yaad aatā
ki terī sī vo malāhat vo ān-bān na thī
vo bosa teġh kā phir baar baar kyoñ letā
agar lahū meñ mire bū-e-za.afrān na thī
sab ek aan meñ be-parda raaz ho jaatā
tū shukr kar ki hameñ ḳhū-e-imtihān na thī
ġhazab ki kis tarah us but ne maar Daalā mujhe
kamāñ meñ tiir na thā haath meñ kamān na thī
kahīñ junūñ to nahīñ ho gayā tujhe 'nāyāb'
tū us ke pīchhe jo dauḌā ye terī shaan na thī
sunata kya main use taqat-e-bayan na thi
kuchh aisi waisi mohabbat ki dastan na thi
tere siwa koi is ghar mein kis tarah aata
dil-e-figar tha kanjare ki ye dukan na thi
wo sang-e-kaba jo ek bosa-gah-e-alam hai
kahin tumhaare hi ghar ki to aastan na thi
jinan mein dekh ke huren tu kyon na yaad aata
ki teri si wo malahat wo aan-ban na thi
wo bosa tegh ka phir bar bar kyon leta
agar lahu mein mere bu-e-zafran na thi
sab ek aan mein be-parda raaz ho jata
tu shukr kar ki hamein KHu-e-imtihan na thi
ghazab ki kis tarah us but ne mar Dala mujhe
kaman mein tir na tha hath mein kaman na thi
kahin junun to nahin ho gaya tujhe 'nayab'
tu us ke pichhe jo dauDa ye teri shan na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.