sunata main bhi magar KHatm gul fasana hua
sunātā maiñ bhī magar ḳhatm gul fasāna huā
bayāz-e-umr ko bikhre hue zamāna huā
uḌā ke le ga.ī āñdhī mire asāse ko
safar se pahle hī raḳht-e-safar ravāna huā
miyān-e-jang kabhī Dhaal maiñ nahīñ rakhtā
vo Dhaal rakhtā hai ḳhud ko jise bachānā huā
adhūre aadmī ab us kā imtihāñ leñge
tamāshā ho gayā goyā ḳhudā ḳhudā na huā
samundaroñ se pare raushnī ziyāda hai
ḳhud apne ghar ko jalāne kā ye bahāna huā
ujaaḌ raat meñ raushan thā chāñd kī sūrat
jo sub.h raushnī laa.ī to maiñ ravāna huā
sunata main bhi magar KHatm gul fasana hua
bayaz-e-umr ko bikhre hue zamana hua
uDa ke le gai aandhi mere asase ko
safar se pahle hi raKHt-e-safar rawana hua
miyan-e-jang kabhi Dhaal main nahin rakhta
wo Dhaal rakhta hai KHud ko jise bachana hua
adhure aadmi ab us ka imtihan lenge
tamasha ho gaya goya KHuda KHuda na hua
samundaron se pare raushni ziyaada hai
KHud apne ghar ko jalane ka ye bahana hua
ujaD raat mein raushan tha chand ki surat
jo subh raushni lai to main rawana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.