sunate rahiye hikayat jagte rahiye
sunāte rahiye hikāyāt jāgte rahiye
bahut muhīb sahī raat jāgte rahiye
agar ḳharāb haiñ hālāt jāgte rahiye
ki ye hai vaqt-e-karāmāt jāgte rahiye
ye faisle kī ghaḌī hai Thahar bhī jā.iye aap
isī tarah se mire saat jāgte rahiye
durust kījiye qibla durust kījiye kaam
durust rakhiye hisābāt jāgte rahiye
vo sub.h jis ke liye raat bhar na so.e the
huī to dekhā ki thī raat jāgte rahiye
talāsh-e-sub.h meñ apnā nishāñ miTā Daalā
aur ab bhaTakte haiñ din-rāt jāgte rahiye
bahut aziiz thī ġhaflat jo hosh aa hī gayā
yahī hai us kī mukāfāt jāgte rahiye
hazār ġhalba-e-shab ho thakan ho niiñd aa.e
abhī bahut haiñ muhimmāt jāgte rahiye
har ik savāl pe chaliye ye ḳhāmushī hī sahī
bahut haiñ mere savālāt jāgte rahiye
vo charḳh-e-zāt se utreñ to āsmān baneñ
khule haiñ saare samāvāt jāgte rahiye
adhūrī bāteñ na uljheñgī phir nigāhoñ se
mudām rakhiye ināyāt jāgte rahiye
nigāh lauTī to ḳhvābīda zehn jaag uThā
hue haiñ paidā kināyāt jāgte rahiye
vo ḳhaas baat jo mansūb aap se hai huzūr
usī se nikle na.ī baat jāgte rahiye
sunate rahiye hikayat jagte rahiye
bahut muhib sahi raat jagte rahiye
agar KHarab hain haalat jagte rahiye
ki ye hai waqt-e-karamat jagte rahiye
ye faisle ki ghaDi hai Thahar bhi jaiye aap
isi tarah se mere sat jagte rahiye
durust kijiye qibla durust kijiye kaam
durust rakhiye hisabaat jagte rahiye
wo subh jis ke liye raat bhar na soe the
hui to dekha ki thi raat jagte rahiye
talash-e-subh mein apna nishan miTa Dala
aur ab bhaTakte hain din-raat jagte rahiye
bahut aziz thi ghaflat jo hosh aa hi gaya
yahi hai us ki mukafat jagte rahiye
hazar ghalba-e-shab ho thakan ho nind aae
abhi bahut hain muhimmat jagte rahiye
har ek sawal pe chaliye ye KHamushi hi sahi
bahut hain mere sawalat jagte rahiye
wo charKH-e-zat se utren to aasman banen
khule hain sare samawat jagte rahiye
adhuri baaten na uljhengi phir nigahon se
mudam rakhiye inayat jagte rahiye
nigah lauTi to KHwabida zehn jag uTha
hue hain paida kinayat jagte rahiye
wo KHas baat jo mansub aap se hai huzur
usi se nikle nai baat jagte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.