sunaun kya tujhe ai dost majra dil ka
sunā.ūñ kyā tujhe ai dost mājrā dil kā
bahut ajiib rahā hai mo.āmla dil kā
kabhī ye dil hai hamārā kabhī kisī kā hai
na jaane kaise badaltā hai faisla dil kā
bahut zahīn bahut tez hai magar phir bhī
dimāġh kar nahīñ saktā muqābla dil kā
kabhī kabhī jo hameñ hañs ke dekh lete ho
baḌhā rahe ho tum is tarah hausla dil kā
karegā mujh pe nichhāvar vo rahmateñ apnī
jo haal dekh rahā hai mirā ḳhudā dil kā
vahī junūn vahī ġham vahī tamannā.eñ
ilaaj koī abhī tak na ho sakā dil kā
ye dhaḌkaneñ to muqaddar haiñ is kī ai 'jāzib'
tamām umr chalegā ye silsila dil kā
sunaun kya tujhe ai dost majra dil ka
bahut ajib raha hai moamla dil ka
kabhi ye dil hai hamara kabhi kisi ka hai
na jaane kaise badalta hai faisla dil ka
bahut zahin bahut tez hai magar phir bhi
dimagh kar nahin sakta muqabla dil ka
kabhi kabhi jo hamein hans ke dekh lete ho
baDha rahe ho tum is tarah hausla dil ka
karega mujh pe nichhawar wo rahmaten apni
jo haal dekh raha hai mera KHuda dil ka
wahi junun wahi gham wahi tamannaen
ilaj koi abhi tak na ho saka dil ka
ye dhaDkanen to muqaddar hain is ki ai 'jazib'
tamam umr chalega ye silsila dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.