sunahri dhup ke parwardigar dhund ke par
sunahrī dhuup ke parvardigār dhund ke paar
koī sahīfa yahāñ bhī utaar dhund ke paar
ragoñ meñ aaj bhī jaise bhaTak rahā hai koī
lahū ke ghoḌe pe zaḳhmī savār dhund ke paar
hamārī aañkh meñ ab tak dhuāñ hai ḳhvāboñ kā
ki jal bujhe haiñ sitāre hazār dhund ke paar
yahīñ kahīñ thā vo jādū-nagar parī-paikar
uḌan-khaTolā yahīñ par utaar dhund ke paar
rukā hai vaqt yahāñ jaise kohr dariyā par
bas ek jast lagānī hai yaar dhund ke paar
maiñ kyā batā.ūñ vahāñ shor hai ki ḳhāmoshī
samā'atoñ kā bhī kyā e'tibār dhund ke paar
qadam qadam pe ye kahtī hai dhuup kī shiddat
utaar pheñk badan kā ye baar dhund ke paar
sunahri dhup ke parwardigar dhund ke par
koi sahifa yahan bhi utar dhund ke par
ragon mein aaj bhi jaise bhaTak raha hai koi
lahu ke ghoDe pe zaKHmi sawar dhund ke par
hamari aankh mein ab tak dhuan hai KHwabon ka
ki jal bujhe hain sitare hazar dhund ke par
yahin kahin tha wo jadu-nagar pari-paikar
uDan-khaTola yahin par utar dhund ke par
ruka hai waqt yahan jaise kohr dariya par
bas ek jast lagani hai yar dhund ke par
main kya bataun wahan shor hai ki KHamoshi
sama'aton ka bhi kya e'tibar dhund ke par
qadam qadam pe ye kahti hai dhup ki shiddat
utar phenk badan ka ye bar dhund ke par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.