sune gae hain rafu-gar ye guftugu karte
sune ga.e haiñ rafū-gar ye guftugū karte
ham us jale hue dāman meñ kyā rafū karte
agar ham un se ġham-e-dil kī aarzū karte
vo lā ke ā.ina-e-hashr rū-ba-rū karte
adā-shanās thā saaqī to phir tajāhul kyoñ
uThe haiñ bazm se kitne subū subū karte
khaḌe hue haiñ ḳhudī ke basīt sahrā meñ
nikalte is se to phir terī justujū karte
kabhī nasīb na hotī ye dard kī lazzat
agar ḳharāb ham ashkoñ kī aabrū karte
'shamīm' kaash isī haal meñ guzar jaatī
vo ham ko DhūñDte ham un kī justujū karte
sune gae hain rafu-gar ye guftugu karte
hum us jale hue daman mein kya rafu karte
agar hum un se gham-e-dil ki aarzu karte
wo la ke aaina-e-hashr ru-ba-ru karte
ada-shanas tha saqi to phir tajahul kyon
uThe hain bazm se kitne subu subu karte
khaDe hue hain KHudi ke basit sahra mein
nikalte is se to phir teri justuju karte
kabhi nasib na hoti ye dard ki lazzat
agar KHarab hum ashkon ki aabru karte
'shamim' kash isi haal mein guzar jati
wo hum ko DhunDte hum un ki justuju karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.