Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sune to sara jahan jurat-e-nawa hi nahin

Mohammad Afzal Khan

sune to sara jahan jurat-e-nawa hi nahin

Mohammad Afzal Khan

MORE BYMohammad Afzal Khan

    sune to saarā jahāñ jur.at-e-navā nahīñ

    falak ko chīrne vaalī koī sadā nahīñ

    tabīb-e-ishq ke dā've tamām jhūTe haiñ

    kisī marīz par ab tak asar huā nahīñ

    usī ke hukm se hote haiñ duur ranj-o-alam

    to yā'nī ḳhāliq-e-kaunain razā nahīñ

    ham us ek nazar se faqat sañvar jaa.eñ

    magar vo ḳhāna-ḳharāboñ ko dekhtā nahīñ

    shikāyateñ to ta'alluq ke dam pe hotī haiñ

    phir un se kaisā gila jin se vāsta nahīñ

    ḳhushī ke vaqt sabhī de ga.e mubārakbād

    shadīd ġham meñ koī shaḳhs pūchhtā nahīñ

    lagī hai zarb yaqīnan bahut shadīd us par

    ye shīsha itnī suhūlat se TūTtā nahīñ

    sune to sara jahan jurat-e-nawa hi nahin

    falak ko chirne wali koi sada hi nahin

    tabib-e-ishq ke da'we tamam jhuTe hain

    kisi mariz par ab tak asar hua hi nahin

    usi ke hukm se hote hain dur ranj-o-alam

    to ya'ni KHaliq-e-kaunain ki raza hi nahin

    hum us ki ek nazar se faqat sanwar jaen

    magar wo KHana-KHarabon ko dekhta hi nahin

    shikayaten to ta'alluq ke dam pe hoti hain

    phir un se kaisa gila jin se wasta hi nahin

    KHushi ke waqt sabhi de gae mubarakbaad

    shadid gham mein koi shaKHs puchhta hi nahin

    lagi hai zarb yaqinan bahut shadid us par

    ye shisha itni suhulat se TuTta hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now