sunega baat apni chal koi to
sunegā baat apnī chal koī to
milegā dasht meñ pāgal koī to
koī to haal pūchhegā hamārā
karegā zaḳhm kā ToTal koī to
milegī hausloñ kī daad ham ko
safar-nāma paḌegā kal koī to
sabhī ke haath meñ kankar hai lekin
machā.e jhiil meñ halchal koī to
mirī dīvāngī par qais bolā
hamāre baa'd hai pāgal koī to
saḌak par kar rahī hai dhuup tāñDav
barasnā chāhiye bādal koī to
sunega baat apni chal koi to
milega dasht mein pagal koi to
koi to haal puchhega hamara
karega zaKHm ka ToTal koi to
milegi hauslon ki dad hum ko
safar-nama paDega kal koi to
sabhi ke hath mein kankar hai lekin
machae jhil mein halchal koi to
meri diwangi par qais bola
hamare ba'd hai pagal koi to
saDak par kar rahi hai dhup tanDaw
barasna chahiye baadal koi to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.