suni hai tumne kabhi guftugu parindon ki
sunī hai tum ne kabhī guftugū parindoñ kī
chaman se hai juḌī har justujū parindoñ kī
kaTe daraḳht ke nazdīk baiThe haiñ māyūs
kisī ne luuT lī hai aabrū parindoñ kī
mile jo vaqt kabhī baat karnā bachchoñ se
zabāñ ye bolte haiñ hū-bahū parindoñ kī
kisī bhī peḌ se pūchho tumheñ batā.egā
har ek shāḳh ko hai aarzū parindoñ kī
koī parind idhar ab nazar nahīñ aatā
Tañgī haiñ lāsheñ yahāñ kū-bakū parindoñ kī
khulī fazā meñ ye parvāz chāhte haiñ bas
'nafīs' aur nahīñ aarzū parindoñ kī
suni hai tum ne kabhi guftugu parindon ki
chaman se hai juDi har justuju parindon ki
kaTe daraKHt ke nazdik baiThe hain mayus
kisi ne luT li hai aabru parindon ki
mile jo waqt kabhi baat karna bachchon se
zaban ye bolte hain hu-bahu parindon ki
kisi bhi peD se puchho tumhein bataega
har ek shaKH ko hai aarzu parindon ki
koi parind idhar ab nazar nahin aata
Tangi hain lashen yahan ku-baku parindon ki
khuli faza mein ye parwaz chahte hain bas
'nafis' aur nahin aarzu parindon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.