suni kisi ne kahan mere intizar ki baat
sunī kisī ne kahāñ mere intizār kī baat
har ik zabāñ pe rahī iḳhtiyār-e-yār kī baat
abhī hai vaqt chalo rābta bahāl kareñ
dilā.eñ yaad use ahd-e-pā.edār kī baat
abhī haiñ karb ke kuchh aur marhale baaqī
abhī chalī hī kahāñ hai mire dayār kī baat
yahāñ shajar kā shajar daav par hai nādānoñ
tumhāre lab pe vahī shāḳh-o-barg-o-bār kī baat
baḌā balīġh ishāra thā us kī bātoñ meñ
hamārā zikr thā aur raah ke ġhubār kī baat
kisī ke dil ke ujaḌne kī baat hai 'anvar'
ḳhizāñ kī baat nahīñ hai nahīñ bahār kī baat
suni kisi ne kahan mere intizar ki baat
har ek zaban pe rahi iKHtiyar-e-yar ki baat
abhi hai waqt chalo rabta bahaal karen
dilaen yaad use ahd-e-paedar ki baat
abhi hain karb ke kuchh aur marhale baqi
abhi chali hi kahan hai mere dayar ki baat
yahan shajar ka shajar daw par hai nadanon
tumhaare lab pe wahi shaKH-o-barg-o-bar ki baat
baDa baligh ishaara tha us ki baaton mein
hamara zikr tha aur rah ke ghubar ki baat
kisi ke dil ke ujaDne ki baat hai 'anwar'
KHizan ki baat nahin hai nahin bahaar ki baat
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.