sunna chahun kabhi haalat sunana chahun
sunna chahun kabhi haalat sunana chahun
Mohsin Ummeedi Burhanpuri
MORE BYMohsin Ummeedi Burhanpuri
sunñā chāhūñ kabhī hālāt sunānā chāhūñ
us se milne ke liye roz bahānā chāhūñ
koī had hai mirī vahshat mire pāgal-pan kī
lamha lamha shab-e-furqat kā suhānā chāhūñ
ġham zamāne ke chale aa.eñ muhājir ban kar
apne andar meñ nayā shahr basānā chāhūñ
us ke kūche meñ bhaTakne se bhī mahrūm huuñ maiñ
rāsta rok le duniyā jo maiñ jaanā chāhūñ
sāya-e-zulf kī pur-kaif fazā meñ 'mohsin'
do ghaḌī chain se sone kā bahānā chāhūñ
sunna chahun kabhi haalat sunana chahun
us se milne ke liye roz bahana chahun
koi had hai meri wahshat mere pagal-pan ki
lamha lamha shab-e-furqat ka suhana chahun
gham zamane ke chale aaen muhajir ban kar
apne andar mein naya shahr basana chahun
us ke kuche mein bhaTakne se bhi mahrum hun main
rasta rok le duniya jo main jaana chahun
saya-e-zulf ki pur-kaif faza mein 'mohsin'
do ghaDi chain se sone ka bahana chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.