suno ki ishq-o-mohabbat ka tajdar hun main
suno ki ishq-o-mohabbat kā tājdār huuñ maiñ
mohabbatoñ ke safīne pe ab savār huuñ maiñ
gulāb khilte haiñ siine meñ mere sheroñ ke
so shāḳh-e-gul kī tarah se hī ḳhār-dār huuñ maiñ
na DhūñD ab tū mujhe zindagī kī rāhoñ meñ
tirī hayāt kī guzrī huī bahār huuñ maiñ
ye mere shāne pe jo sar hai ik amānat hai
salīb-e-arsa-e-hastī pe ik udhār huuñ maiñ
ḳhudā-e-pāk safīna utaar de merā
bahut zamāna huā sirf intizār huuñ maiñ
nahīñ hai ḳhud mujhe apnī hī zaat par koī haq
ye kis ne kah diyā hai ahl-e-iḳhtiyār huuñ maiñ
varaq varaq pe ka.ī naqsh the numāyāñ se
unhī nuqūsh se ubhrā sā iztirār huuñ maiñ
ḳhushī ke naġhme sunā.ūñ kahāñ se maiñ 'dānish'
ġham-o-alam kī bahut lambī ik qatār huuñ maiñ
suno ki ishq-o-mohabbat ka tajdar hun main
mohabbaton ke safine pe ab sawar hun main
gulab khilte hain sine mein mere sheron ke
so shaKH-e-gul ki tarah se hi KHar-dar hun main
na DhunD ab tu mujhe zindagi ki rahon mein
teri hayat ki guzri hui bahaar hun main
ye mere shane pe jo sar hai ek amanat hai
salib-e-arsa-e-hasti pe ek udhaar hun main
KHuda-e-pak safina utar de mera
bahut zamana hua sirf intizar hun main
nahin hai KHud mujhe apni hi zat par koi haq
ye kis ne kah diya hai ahl-e-iKHtiyar hun main
waraq waraq pe kai naqsh the numayan se
unhi nuqush se ubhra sa iztirar hun main
KHushi ke naghme sunaun kahan se main 'danish'
gham-o-alam ki bahut lambi ek qatar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.