suno kuchh dida-e-nam bolte hain
suno kuchh dīda-e-nam bolte haiñ
jo chup the aaj vo ġham bolte haiñ
kaho sāñsoñ meñ hai āvāz kis kī
ye tum kahte ho yā ham bolte haiñ
tumhāre husn kī ḳhushbū guloñ meñ
tumhārā naam mausam bolte haiñ
kisī kī bhī kabhī sunte nahīñ vo
magar un se kaho ham bolte haiñ
tumhārā raag ghuñgrū ke laboñ par
tumhāre hoñT sargam bolte haiñ
tumhāre husn kā jaadū hai kitnā
tumhārī zulf ke ḳham bolte haiñ
vo dekhā hai tumhārī chashm-e-nam meñ
jise ham sāġhar-e-jam bolte haiñ
use ham ne kahīñ dekhā nahīñ hai
jise ahbāb hamdam bolte haiñ
har ik suntā hai un kī baat 'asġhar'
jo sunte haiñ bahut kam bolte haiñ
suno kuchh dida-e-nam bolte hain
jo chup the aaj wo gham bolte hain
kaho sanson mein hai aawaz kis ki
ye tum kahte ho ya hum bolte hain
tumhaare husn ki KHushbu gulon mein
tumhaara nam mausam bolte hain
kisi ki bhi kabhi sunte nahin wo
magar un se kaho hum bolte hain
tumhaara rag ghungru ke labon par
tumhaare honT sargam bolte hain
tumhaare husn ka jadu hai kitna
tumhaari zulf ke KHam bolte hain
wo dekha hai tumhaari chashm-e-nam mein
jise hum saghar-e-jam bolte hain
use hum ne kahin dekha nahin hai
jise ahbab hamdam bolte hain
har ek sunta hai un ki baat 'asghar'
jo sunte hain bahut kam bolte hain
- Book : Khule Alfaaz (Pg. 48)
- Author : Asghar Veloori
- Publication : Sarmadi Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.