suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain
suno musāfir! sarā.e-jāñ ko tumhārī yādeñ jalā chukī haiñ
mohabbatoñ kī hikāyateñ ab yahāñ se Derā uThā chukī haiñ
vo shahr-e-hairat kā shāhzāda giraft-e-idrāk meñ nahīñ hai
us ek chehre kī hairatoñ meñ hazār āñkheñ samā chukī haiñ
ham apne sar par guzishta din kī thakan uThā.e bhaTak rahe haiñ
dayār-e-shab terī ḳhvāb-gāheñ tamām parde girā chukī haiñ
badalte mausam kī silvaToñ meñ dabī haiñ hijrat kī dāstāneñ
vo dāstāneñ jo sunñe vāloñ kī niiñd kab kī uḌā chukī haiñ
vo saarī sub.heñ tamām shāmeñ ki jin ke māthe pe ham likhe the
sunā hai kal shab tumhāre dar par lahū ke aañsū bahā chukī haiñ
kahāñ se aa.e the tiir ham par, tanābeñ ḳhemoñ kī kis ne kāTīñ
gurez kartī havā.eñ ham ko tamām bāteñ batā chukī haiñ
dhueñ ke bādal chhaTe to ham ne 'nabīl' dekhā ajiib manzar
ḳhamoshiyoñ kī sulagtī chīḳheñ fazā kā siina jalā chukī haiñ
suno musafir! sarae-jaan ko tumhaari yaaden jala chuki hain
mohabbaton ki hikayaten ab yahan se Dera uTha chuki hain
wo shahr-e-hairat ka shahzada giraft-e-idrak mein nahin hai
us ek chehre ki hairaton mein hazar aankhen sama chuki hain
hum apne sar par guzishta din ki thakan uThae bhaTak rahe hain
dayar-e-shab teri KHwab-gahen tamam parde gira chuki hain
badalte mausam ki silwaTon mein dabi hain hijrat ki dastanen
wo dastanen jo sunne walon ki nind kab ki uDa chuki hain
wo sari subhen tamam shamen ki jin ke mathe pe hum likhe the
suna hai kal shab tumhaare dar par lahu ke aansu baha chuki hain
kahan se aae the tir hum par, tanaben KHemon ki kis ne kaTin
gurez karti hawaen hum ko tamam baaten bata chuki hain
dhuen ke baadal chhaTe to hum ne 'nabil' dekha ajib manzar
KHamoshiyon ki sulagti chiKHen faza ka sina jala chuki hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.