sunoge KHalq ki zaban sunaun to
sunoge ḳhalq kī zabāñ sunā.ūñ to
huzūr jaan kī amaan pā.ūñ to
jo tum ho ab vo rah na pāoge kabhī
hijāb agar zarā sā maiñ uThā.ūñ to
to kyā sitāra ban ke jagmagāoge
maiñ apnī ḳhaak se jahāñ banā.ūñ to
suḳhan kī shāhzādī muntazir na ho
dar-e-tilism-e-zāt khaTkhaTā.ūñ to
ye kyā ki bas ḳhudā ko DhūñDhtā phirūñ
ḳhud apne aap se milūñ milā.ūñ to
bas ek zarb aa.ina tamām-shud
bas ek nā'ra-e-nafī lagā.ūñ to
sunoge KHalq ki zaban sunaun to
huzur jaan ki aman paun to
jo tum ho ab wo rah na paoge kabhi
hijab agar zara sa main uThaun to
to kya sitara ban ke jagmagaoge
main apni KHak se jahan banaun to
suKHan ki shahzadi muntazir na ho
dar-e-tilism-e-zat khaTkhaTaun to
ye kya ki bas KHuda ko DhunDhta phirun
KHud apne aap se milun milaun to
bas ek zarb aaina tamam-shud
bas ek na'ra-e-nafi lagaun to
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 67)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.