sunsan raste na the viran ghar na the
sunsān rāste na the vīrān ghar na the
jab ham the shahr meñ to ye shām-o-sahar na the
allāh re ye ālam-e-ġhurbat ye bebasī
ham bekasoñ ke jaise kabhī apne ghar na the
zulmat-shikan junūñ ke ujāle gavāh haiñ
ham the naved-e-sub.h talāsh-e-sahar na the
simTeñ to musht-e-ḳhāk haiñ phaileñ to kā.enāt
idrāk se buland kab āshufta-sar na the
ham ko miTā sakā na kisī ahd kā yazīd
ham sidq the fasāna-e-nā-mo'atabar na the
zindāñ hai yā fasīl-e-chaman kis ko hosh thā
tārīk shahr thā kahīñ dīvār-o-dar na the
sunsan raste na the viran ghar na the
jab hum the shahr mein to ye sham-o-sahar na the
allah re ye aalam-e-ghurbat ye bebasi
hum bekason ke jaise kabhi apne ghar na the
zulmat-shikan junun ke ujale gawah hain
hum the nawed-e-subh talash-e-sahar na the
simTen to musht-e-KHak hain phailen to kaenat
idrak se buland kab aashufta-sar na the
hum ko miTa saka na kisi ahd ka yazid
hum sidq the fasana-e-na-mo'atabar na the
zindan hai ya fasil-e-chaman kis ko hosh tha
tarik shahr tha kahin diwar-o-dar na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.