sunsan raston pe teri yaad ne kaha
sunsān rāstoñ pe tirī yaad ne kahā
hālāt kā fareb bhī kitnā hasīn thā
ab ke bhī dard-mand bahāroñ ne jā-ba-jā
phūloñ kī taḳhtiyoñ pe tirā naam likh diyā
raat ek ajnabī kī tarah ghūmtī rahī
din ek falsafī kī tarah sochtā rahā
har tīrgī ne mujh se ujāloñ kī baat kī
har zahr ittifāq se tiryāk bin gayā
chamkā rahī hai ġham ke añdheroñ ko duur tak
kirnoñ kī sīḌhiyoñ se utartī huī sadā
yuuñ dil ke aas paas hai ḳhvāboñ kī raushnī
jaise kisī galī meñ darīcha ho niim vā
'jāmī' jo zindagī se ziyāda 'azīz the
in ko bhī zindagī kī tarah bhūlnā paḌā
sunsan raston pe teri yaad ne kaha
haalat ka fareb bhi kitna hasin tha
ab ke bhi dard-mand bahaaron ne ja-ba-ja
phulon ki taKHtiyon pe tera nam likh diya
raat ek ajnabi ki tarah ghumti rahi
din ek falsafi ki tarah sochta raha
har tirgi ne mujh se ujalon ki baat ki
har zahr ittifaq se tiryak bin gaya
chamka rahi hai gham ke andheron ko dur tak
kirnon ki siDhiyon se utarti hui sada
yun dil ke aas pas hai KHwabon ki raushni
jaise kisi gali mein daricha ho nim wa
'jami' jo zindagi se ziyaada 'aziz the
in ko bhi zindagi ki tarah bhulna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.