sunta jo hai koi mere ghuncha-dahan ki baat
sunta jo hai koi mere ghuncha-dahan ki baat
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
suntā jo hai koī mire ġhuncha-dahan kī baat
bhātī nahīñ hai us ko kisī gul-badan kī baat
har shaḳhs kī zabāñ pe tirā zikr-e-ḳhair hai
ḳhālī nahīñ hai tujh se kisī mard-o-zan kī baat
ġhurbat meñ apnā haal kahūñ kyā maiñ dosto
dil TūTtā hai suntā huuñ jab maiñ vatan kī baat
dasht-e-junūñ meñ phir hameñ le chal tū ai junūñ
phir vahshiyoñ ke saath ho dīvāna-pan kī baat
jām-e-sharāb-e-nāb to bālā-e-tāq hai
kartī hai mast sāqī-e-gul-gūñ-badan kī baat
va.ade visāl ke to hazāroñ guzar ga.e
ab kaun maane us but-e-paimāñ-shikan kī baat
sunte haiñ un kī kākul-e-mushkīñ ke vasf meñ
ham gosh-e-dil se ahl-e-ḳhatā-o-ḳhutan kī baat
sunta jo hai koi mere ghuncha-dahan ki baat
bhati nahin hai us ko kisi gul-badan ki baat
har shaKHs ki zaban pe tera zikr-e-KHair hai
KHali nahin hai tujh se kisi mard-o-zan ki baat
ghurbat mein apna haal kahun kya main dosto
dil TuTta hai sunta hun jab main watan ki baat
dasht-e-junun mein phir hamein le chal tu ai junun
phir wahshiyon ke sath ho diwana-pan ki baat
jam-e-sharab-e-nab to baala-e-taq hai
karti hai mast saqi-e-gul-gun-badan ki baat
wade visal ke to hazaron guzar gae
ab kaun mane us but-e-paiman-shikan ki baat
sunte hain un ki kakul-e-mushkin ke wasf mein
hum gosh-e-dil se ahl-e-KHata-o-KHutan ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.