sunte hain mohabbat dhoka hai dhoka na hua achchha hi hua
sunte haiñ mohabbat dhokā hai dhokā na huā achchhā hī huā
us shāhid-e-rānā se koī va.ada na huā achchhā hī huā
ik jins-e-girāñ hai dil apnā sad-shukr ki apne paas to hai
in zohra-jabīnoñ se yaaro saudā na huā achchhā hī huā
kyā jaane kahāñ Thokar lagtī kyā jaane kahāñ sar jhuk jaatā
kitnī hī pilā.ī us ne magar nashsha na huā achchhā hī huā
ḳhud.dār tabī.at apnī bhī ḳhud.dār tabī.at us kī bhī
us pā-e-nigārīñ par ham se sajda na huā achchhā hī huā
ye baat usī kī sach niklī vo jiit gayā maiñ haar gayā
ik nāseh-e-mushfiq se apnā jhagḌā na huā achchhā hī huā
ehsās ke sho.ale jal uThte dil dukh jaatā jī chhuT jaatā
us mahfil-e-kaif-o-mastī meñ jaanā na huā achchhā hī huā
har ashk hamārā gauhar hai har ashk hamārā shabnam hai
'iqbāl' hameñ in ashkoñ kā ronā na huā achchhā hī huā
sunte hain mohabbat dhoka hai dhoka na hua achchha hi hua
us shahid-e-rana se koi wada na hua achchha hi hua
ek jins-e-giran hai dil apna sad-shukr ki apne pas to hai
in zohra-jabinon se yaro sauda na hua achchha hi hua
kya jaane kahan Thokar lagti kya jaane kahan sar jhuk jata
kitni hi pilai us ne magar nashsha na hua achchha hi hua
KHuddar tabiat apni bhi KHuddar tabiat us ki bhi
us pa-e-nigarin par hum se sajda na hua achchha hi hua
ye baat usi ki sach nikli wo jit gaya main haar gaya
ek naseh-e-mushfiq se apna jhagDa na hua achchha hi hua
ehsas ke shoale jal uThte dil dukh jata ji chhuT jata
us mahfil-e-kaif-o-masti mein jaana na hua achchha hi hua
har ashk hamara gauhar hai har ashk hamara shabnam hai
'iqbaal' hamein in ashkon ka rona na hua achchha hi hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.