sunte rahte hain faqat kuchh wo nahin kah sakte
sunte rahte haiñ faqat kuchh vo nahīñ kah sakte
ā.inoñ se jo kaheñ un ko nahīñ kah sakte
un ke lahje meñ koī aur hī bolā hogā
mujhe lagtā hai ki aisā vo nahīñ kah sakte
shahr meñ ek divāne se kahalvāte haiñ
ahl-e-pindār mire ḳhud jo nahīñ kah sakte
yuuñ to mil jaane ko dam-sāz ka.ī mil jaa.eñ
dil kī bāteñ haiñ har ik se to nahīñ kah sakte
jaane phir muñh meñ zabāñ rakhne kā masraf kyā hai
jo kahā chāhte haiñ vo to nahīñ kah sakte
sunte rahte hain faqat kuchh wo nahin kah sakte
aainon se jo kahen un ko nahin kah sakte
un ke lahje mein koi aur hi bola hoga
mujhe lagta hai ki aisa wo nahin kah sakte
shahr mein ek diwane se kahalwate hain
ahl-e-pindar mere KHud jo nahin kah sakte
yun to mil jaane ko dam-saz kai mil jaen
dil ki baaten hain har ek se to nahin kah sakte
jaane phir munh mein zaban rakhne ka masraf kya hai
jo kaha chahte hain wo to nahin kah sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.