suragh-e-jaan-e-jaan hai aur main hun
suragh-e-jaan-e-jaan hai aur main hun
Syed Shabbir Hassan Rizvi
MORE BYSyed Shabbir Hassan Rizvi
surāġh-e-jān-e-jāñ hai aur maiñ huuñ
talāsh-e-lā-makāñ hai aur maiñ huuñ
zamīñ hai āsmāñ hai aur maiñ huuñ
nishān-e-kun-fakāñ hai aur maiñ huuñ
yaqīñ kā imtihāñ hai aur maiñ huuñ
gumānoñ par gumāñ hai aur maiñ huuñ
jahān-e-fikr ho yā bazm-e-ījād
vahī kab aur kahāñ hai aur maiñ huuñ
ḳhud apne 'ijz meñ mahsūr huuñ maiñ
ki daur-e-be-karāñ hai aur maiñ huuñ
ḳhudī shāyad hai ḳhud ik ḳhvāb-e-hastī
fusūñ afsāna-ḳhvāñ hai aur maiñ huuñ
junūñ begāna-e-ādāb-e-tamkīñ
ḳhirad kā pāsbāñ hai aur maiñ huuñ
mirī hastī hai nai hāsil hai naala
fuġhāñ andar fuġhāñ hai aur maiñ huuñ
madad ai mīr-e-mardān-e-vilāyat
ki gard-e-kārvāñ hai aur maiñ huuñ
pur-az-harf-o-hikāyat sohbat-e-dil
mirā ik ham-zabāñ hai aur maiñ huuñ
abhī hai hasti-e-mauhūm 'shabbīr'
abhī sūd-o-ziyāñ hai aur maiñ huuñ
suragh-e-jaan-e-jaan hai aur main hun
talash-e-la-makan hai aur main hun
zamin hai aasman hai aur main hun
nishan-e-kun-fakan hai aur main hun
yaqin ka imtihan hai aur main hun
gumanon par guman hai aur main hun
jahan-e-fikr ho ya bazm-e-ijad
wahi kab aur kahan hai aur main hun
KHud apne 'ijz mein mahsur hun main
ki daur-e-be-karan hai aur main hun
KHudi shayad hai KHud ek KHwab-e-hasti
fusun afsana-KHwan hai aur main hun
junun begana-e-adab-e-tamkin
KHirad ka pasban hai aur main hun
meri hasti hai nai hasil hai nala
fughan andar fughan hai aur main hun
madad ai mir-e-mardan-e-wilayat
ki gard-e-karwan hai aur main hun
pur-az-harf-o-hikayat sohbat-e-dil
mera ek ham-zaban hai aur main hun
abhi hai hasti-e-mauhum 'shabbir'
abhi sud-o-ziyan hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.