surKH ruKHsar hasin honT ghazali aankhen
surḳh ruḳhsār hasīñ hoñT ġhazālī āñkheñ
chāñd chehre pe qayāmat haiñ ye kaalī āñkheñ
pahle kuchh ḳhvāb bhī the niiñd bhī thī ashk bhī the
tū judā jab se huā ho ga.iiñ ḳhālī āñkheñ
hoñT betāb haiñ un sab ke javābāt liye
mujh se jo pūchhtī rahtī haiñ savālī āñkheñ
ḳhair chehra to banā lūñgā maiñ jaise-taise
kis tarah utreñgī kāġhaz pe ḳhayālī āñkheñ
apne dukh se bhī sivā jin ko dikhe ġhair kā dukh
DhūñD kar laa.e koī aisī misālī āñkheñ
qābil-e-rashk hai us shaḳhs kī qismat 'yāsir'
mil ga.iiñ jis ko tujhe dekhne vaalī āñkheñ
surKH ruKHsar hasin honT ghazali aankhen
chand chehre pe qayamat hain ye kali aankhen
pahle kuchh KHwab bhi the nind bhi thi ashk bhi the
tu juda jab se hua ho gain KHali aankhen
honT betab hain un sab ke jawabaat liye
mujh se jo puchhti rahti hain sawali aankhen
KHair chehra to bana lunga main jaise-taise
kis tarah utrengi kaghaz pe KHayali aankhen
apne dukh se bhi siwa jin ko dikhe ghair ka dukh
DhunD kar lae koi aisi misali aankhen
qabil-e-rashk hai us shaKHs ki qismat 'yasir'
mil gain jis ko tujhe dekhne wali aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.