surKH-ru harf se ye taza-KHayali hui hai
surḳh-rū harf se ye tāza-ḳhayālī huī hai
masnad-e-she'r pe jab merī bahālī huī hai
sar uThā kar ye jo chalte haiñ yahāñ kaj-kulahāñ
tarh is shahr meñ ye merī hī Daalī huī hai
par yahāñ ḳhuub parindoñ ke jalā.e ga.e haiñ
ye fazā shahr meñ yuuñ hī nahīñ kaalī huī hai
us ke kashkol meñ sab shukr kī daulat rakh dī
mujh se duniyā-e-danī jab bhī savālī huī hai
jab se ram karne lage haiñ tirī yādoñ ke ġhazāl
ye mire dil kī zamīñ tab se ġhazālī huī hai
kyā koī dene lagā hai kahīñ sho'loñ ko havā
kis liye shāḳh-e-chaman chiḌiyoñ se ḳhālī huī hai
kaam aatī hai parindoñ kī asīrī ke liye
haq meñ sayyād ke ye be-par-o-bālī huī hai
tū hasīñ hai to koī aur bhī hai tujh se hasīñ
kab koī Dhālī huī shakl misālī huī hai
ḳhalq hote haiñ na.e she'r na.ī aab ke saath
kab zar-e-harf se jholī mirī ḳhālī huī hai
is ġhazal kī ye zamīñ kuchh mujhe mā'lūm nahīñ
hai kisī aur kī yā merī nikālī huī hai
aaj ho ā.eñge us kūcha-e-jānāñ meñ 'anīs'
baat ye ham ne ka.ī roz se Taalī huī hai
surKH-ru harf se ye taza-KHayali hui hai
masnad-e-she'r pe jab meri bahaali hui hai
sar uTha kar ye jo chalte hain yahan kaj-kulahan
tarh is shahr mein ye meri hi Dali hui hai
par yahan KHub parindon ke jalae gae hain
ye faza shahr mein yun hi nahin kali hui hai
us ke kashkol mein sab shukr ki daulat rakh di
mujh se duniya-e-dani jab bhi sawali hui hai
jab se ram karne lage hain teri yaadon ke ghazal
ye mere dil ki zamin tab se ghazali hui hai
kya koi dene laga hai kahin sho'lon ko hawa
kis liye shaKH-e-chaman chiDiyon se KHali hui hai
kaam aati hai parindon ki asiri ke liye
haq mein sayyaad ke ye be-par-o-baali hui hai
tu hasin hai to koi aur bhi hai tujh se hasin
kab koi Dhaali hui shakl misali hui hai
KHalq hote hain nae she'r nai aab ke sath
kab zar-e-harf se jholi meri KHali hui hai
is ghazal ki ye zamin kuchh mujhe ma'lum nahin
hai kisi aur ki ya meri nikali hui hai
aaj ho aaenge us kucha-e-jaanan mein 'anis'
baat ye hum ne kai roz se Tali hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.