surKH-ru nazron mein hone ka bahana chahun
surḳh-rū nazroñ meñ hone kā bahāna chāhūñ
jo mire paas hai sab tujh pe gañvānā chāhūñ
paas hī chashma ubaltā hai ye mālūm na thā
tishnagī chal ki tirī pyaas bujhānā chāhūñ
lahreñ sāhil se lipaTne ko machal jaatī thiiñ
tujh ko manzar maiñ vahī yaad dilānā chāhūñ
vo ki har lamha mirī ruuh ko sairāb kare
maiñ ki har raat bichhaḌne kā bahāna chāhūñ
tum to zarḳhez zamīñ pā ke bhī māyūs hue
maiñ to sahrāoñ meñ bhī ḳhvāb ugānā chāhūñ
kuuch kar jā.ūñgā pau phaTte hī manzil kī taraf
aaj kī raat musāfir huuñ Thikāna chāhūñ
maiñ ne anjāne jazīroñ kā safar chhoḌ diyā
yaar kī bastī meñ phir lauT ke aanā chāhūñ
zindagī terī pahelī to kaThin hai lekin
tujh ko pā.ūñ to isī ruup meñ paanā chāhūñ
surKH-ru nazron mein hone ka bahana chahun
jo mere pas hai sab tujh pe ganwana chahun
pas hi chashma ubalta hai ye malum na tha
tishnagi chal ki teri pyas bujhana chahun
lahren sahil se lipaTne ko machal jati thin
tujh ko manzar main wahi yaad dilana chahun
wo ki har lamha meri ruh ko sairab kare
main ki har raat bichhaDne ka bahana chahun
tum to zarKHez zamin pa ke bhi mayus hue
main to sahraon mein bhi KHwab ugana chahun
kuch kar jaunga pau phaTte hi manzil ki taraf
aaj ki raat musafir hun Thikana chahun
main ne anjaane jaziron ka safar chhoD diya
yar ki basti mein phir lauT ke aana chahun
zindagi teri paheli to kaThin hai lekin
tujh ko paun to isi rup mein pana chahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.