surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya
surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fām ho gayā
fitna savār-e-ablaq-e-ayyām ho gayā
paimāne ke tavāf meñ hai mai-kashoñ kī aañkh
tār-e-nigāh un kā ḳhat-e-jām ho gayā
aaya jo sair ko lab-e-sāhil vo bāda-nosh
dariyā meñ jo habāb uThā jaam ho gayā
ai dil firāq-e-yār meñ marnā hai zindagī
jāñbāz āshiqoñ meñ tirā naam ho gayā
TukḌe dil-o-jigar ke uḌāne se fā.eda
ai teġh-e-nāz ab to mirā kaam ho gayā
zulfoñ kī yaad meñ nazar aaya jo rū-e-yār
thā kufr kā ḳhayāl par islām ho gayā
us zulf ke ḳhayāl ne afsurda-dil kiyā
ThanDā charāġh-e-umr sar-e-shām ho gayā
milte nahīñ vo ham se ab itne za.iif haiñ
labrez umr-e-ḳhizr kā bhī jaam ho gayā
tāqat badan meñ aa ga.ī chehra bahāl hai
tashrīf laa.e aap ki ārām ho gayā
tū shaam ko jo aaya Tahalne ke vāste
sartāj-e-koh-e-tūr tirā baam ho gayā
surme se uḌ chalā tirī āñkhoñ kā husn aur
kyā tez-gām ablaq-e-ayyām ho gayā
ham ibtidā-e-ishq hī meñ ho ga.e tamām
āġhāz jis ko samjhe the anjām ho gayā
ḳhil.at diyā jo zaḳhmoñ kā qātil kī teġh ne
nām-āvarī kā ḳhuub sar-anjām ho gayā
kahtā hai taan se tū hameñ banda-e-ḳhudā
itnā mizāj o but-e-ḳhud-kām ho gayā
qāsid ne be-dhaḌak jo sunāyā javāb-e-shauq
paiġhām-e-yār maut kā paiġhām ho gayā
phailā ye sehr-e-chashm-e-fusūñ-sāz yaar kā
paTna hamārā ḳhitta-e-āshām ho gayā
qismat meñ puḳhtagī jo na roz-e-azal se thī
jo phal hameñ milā samar-e-ḳhām ho gayā
us rashk-e-gul ne dekhte hī said kar liyā
tār-e-nigāh-e-nāz mujhe daam ho gayā
ab zikr bhī hamārā tumheñ nāgavār hai
aisā zalīl āshiq-e-nākām ho gayā
hāsil huī hai ye barakat na.at-e-pāk se
'akbar' tirā bhī shāh-e-suḳhan naam ho gayā
surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya
fitna sawar-e-ablaq-e-ayyam ho gaya
paimane ke tawaf mein hai mai-kashon ki aankh
tar-e-nigah un ka KHat-e-jam ho gaya
aaya jo sair ko lab-e-sahil wo baada-nosh
dariya mein jo habab uTha jam ho gaya
ai dil firaq-e-yar mein marna hai zindagi
jaanbaz aashiqon mein tera nam ho gaya
TukDe dil-o-jigar ke uDane se faeda
ai tegh-e-naz ab to mera kaam ho gaya
zulfon ki yaad mein nazar aaya jo ru-e-yar
tha kufr ka KHayal par islam ho gaya
us zulf ke KHayal ne afsurda-dil kiya
ThanDa charagh-e-umr sar-e-sham ho gaya
milte nahin wo hum se ab itne zaif hain
labrez umr-e-KHizr ka bhi jam ho gaya
taqat badan mein aa gai chehra bahaal hai
tashrif lae aap ki aaram ho gaya
tu sham ko jo aaya Tahalne ke waste
sartaj-e-koh-e-tur tera baam ho gaya
surme se uD chala teri aankhon ka husn aur
kya tez-gam ablaq-e-ayyam ho gaya
hum ibtida-e-ishq hi mein ho gae tamam
aaghaz jis ko samjhe the anjam ho gaya
KHilat diya jo zaKHmon ka qatil ki tegh ne
nam-awari ka KHub sar-anjam ho gaya
kahta hai tan se tu hamein banda-e-KHuda
itna mizaj o but-e-KHud-kaam ho gaya
qasid ne be-dhaDak jo sunaya jawab-e-shauq
paigham-e-yar maut ka paigham ho gaya
phaila ye sehr-e-chashm-e-fusun-saz yar ka
paTna hamara KHitta-e-asham ho gaya
qismat mein puKHtagi jo na roz-e-azal se thi
jo phal hamein mila samar-e-KHam ho gaya
us rashk-e-gul ne dekhte hi said kar liya
tar-e-nigah-e-naz mujhe dam ho gaya
ab zikr bhi hamara tumhein nagawar hai
aisa zalil aashiq-e-nakaam ho gaya
hasil hui hai ye barakat nat-e-pak se
'akbar' tera bhi shah-e-suKHan nam ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.