surur ban ke nigahon mein sar mein rahta hai
surūr ban ke nigāhoñ meñ sar meñ rahtā hai
ik iltifāt jo un kī nazar meñ rahtā hai
vahī hai jān-e-tamannā vahī hai dil kā qarār
ki jis kā aks mirī chashm-e-tar meñ rahtā hai
ye ek din kā to qissa nahīñ ki ḳhatm huā
junūñ hamārā hamesha safar meñ rahtā hai
idhar haiñ laġhzisheñ paiham navāzisheñ haiñ udhar
hamārā jurm kab un kī nazar meñ rahtā hai
sharāb laao ki maiñ hosh meñ to aa jā.ūñ
nashe baġhair ye kab apne sar meñ rahtā hai
ajiib baat hai jab sāmne vo rahte haiñ
mirā havās kisī rahguzar meñ rahtā hai
hayāt-sāz tag-o-dau ke bāvajūd ai dost
baḌā sukūn bhalā.ī-nagar meñ rahtā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb kī vaadī se lauT kar 'ashraf'
bahut udaas sā bas apne ghar meñ rahtā hai
surur ban ke nigahon mein sar mein rahta hai
ek iltifat jo un ki nazar mein rahta hai
wahi hai jaan-e-tamanna wahi hai dil ka qarar
ki jis ka aks meri chashm-e-tar mein rahta hai
ye ek din ka to qissa nahin ki KHatm hua
junun hamara hamesha safar mein rahta hai
idhar hain laghzishen paiham nawazishen hain udhar
hamara jurm kab un ki nazar mein rahta hai
sharab lao ki main hosh mein to aa jaun
nashe baghair ye kab apne sar mein rahta hai
ajib baat hai jab samne wo rahte hain
mera hawas kisi rahguzar mein rahta hai
hayat-saz tag-o-dau ke bawajud ai dost
baDa sukun bhalai-nagar mein rahta hai
KHayal-o-KHwab ki wadi se lauT kar 'ashraf'
bahut udas sa bas apne ghar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.