surur dil mein na aankhon mein KHwab baqi hai
surūr dil meñ na āñkhoñ meñ ḳhvāb baaqī hai
shab-e-firāq faqat iztirāb baaqī hai
hazār ruḳh se vo parda uThā chuke haiñ magar
ziyā-e-husn kī ab bhī naqāb baaqī hai
ḳhudā ke vāste ḳhissat se baaz aa saaqī
uñDel de vo jo ḳhum meñ sharāb baaqī hai
tumhāre aate hī achchhā maiñ ho gayā sāhab
na ab alam hai na vo iztirāb baaqī hai
shab-e-firāq ga.e mere dil se sabr-o-qarār
faqat ġham-e-dil-e-ḳhāna-ḳharāb baaqī hai
lahad meñ mujh ko jagātā hai shor-e-mahshar kyoñ
abhī to dil meñ tamannā-e-ḳhvāb baaqī hai
hazāroñ ho ga.e pāmāl āsmāñ lekin
abhī ye 'sābir'-e-ḳhāna-ḳharāb baaqī hai
surur dil mein na aankhon mein KHwab baqi hai
shab-e-firaq faqat iztirab baqi hai
hazar ruKH se wo parda uTha chuke hain magar
ziya-e-husn ki ab bhi naqab baqi hai
KHuda ke waste KHissat se baz aa saqi
unDel de wo jo KHum mein sharab baqi hai
tumhaare aate hi achchha main ho gaya sahab
na ab alam hai na wo iztirab baqi hai
shab-e-firaq gae mere dil se sabr-o-qarar
faqat gham-e-dil-e-KHana-KHarab baqi hai
lahad mein mujh ko jagata hai shor-e-mahshar kyon
abhi to dil mein tamanna-e-KHwab baqi hai
hazaron ho gae pamal aasman lekin
abhi ye 'sabir'-e-KHana-KHarab baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.