su-e-manzil na jo rawan honge
sū-e-manzil na jo ravāñ hoñge
sūrat-e-gard-e-kārvāñ hoñge
lab agar ḳhūgare-fuġhāñ hoñge
dāġh-e-dil aur bhī ayaañ hoñge
do-ghaḌī hañs ke baat kar ham se
phir ḳhudā jaane ham kahāñ hoñge
gulsitāñ meñ bahār aane de
Dālī-Dālī pe āshiyāñ hoñge
aah vo fāsle jo qurb pe bhī
mere aur un ke darmiyāñ hoñge
husn jab tak na jalva-gar hogā
donoñ aalam dhuāñ-dhuāñ hoñge
chhiḌ gayā phir tire shabāb kā zikr
dil ke armān phir javāñ hoñge
aap kahte haiñ haiñ to yaqīñ hai mujhe
aap bhī mere qadr-dāñ hoñge
ham na hoñge magar hamāre ba.ad
ashk is aañkh se ravāñ hoñge
vaj.h-e-barbādī-e-dil-e-'rif.at'
aap jaise hī qadr-dāñ hoñge
su-e-manzil na jo rawan honge
surat-e-gard-e-karwan honge
lab agar KHugare-fughan honge
dagh-e-dil aur bhi ayan honge
do-ghaDi hans ke baat kar hum se
phir KHuda jaane hum kahan honge
gulsitan mein bahaar aane de
Dali-Dali pe aashiyan honge
aah wo fasle jo qurb pe bhi
mere aur un ke darmiyan honge
husn jab tak na jalwa-gar hoga
donon aalam dhuan-dhuan honge
chhiD gaya phir tere shabab ka zikr
dil ke arman phir jawan honge
aap kahte hain hain to yaqin hai mujhe
aap bhi mere qadr-dan honge
hum na honge magar hamare baad
ashk is aankh se rawan honge
wajh-e-barbaadi-e-dil-e-'rifat'
aap jaise hi qadr-dan honge
- Book : NuqooshVol. No. 81-82 (Pg. E-148 B-141)
- Publication : Idarah faroog Urdu, Lahore (June 1960)
- Edition : June 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.