su-e-shahr aae uDate parcham-e-sahra ko hum
Interesting Fact
(Urdu Blatter, Bombay)
sū-e-shahr aa.e uḌāte parcham-e-sahrā ko ham
ai junūñ ab ke ulaT ke rakh hī deñ duniyā ko ham
thā kahīñ maazī meñ to ai haal ab aage terā kaam
le to aa.e terī chaukhaT tak tire fardā ko ham
kitne daanā haiñ lagā kar aag saare shahr ko
ek gangā le chale jaltī huī lanka ko ham
muztarib haiñ saare sannāTe ki āvāzeñ baneñ
rahbaro daabe haiñ ik patthar tale sahrā ko ham
ḳhaak kā zarra guhar ke mol thā bāzār meñ
jau ke daane ke liye rote haiñ an-dātā ko ham
pyaas kah kah kar pukāreñ biich dariyā meñ khaḌe
paanī paanī kah ke māñgeñ ret se dariyā ko ham
dhuup agar hotī to tan Dhaknā kuchh āsāñ thā 'shahāb'
raushnī se chhīn lete parda-e-sāyā ko ham
su-e-shahr aae uDate parcham-e-sahra ko hum
ai junun ab ke ulaT ke rakh hi den duniya ko hum
tha kahin mazi mein to ai haal ab aage tera kaam
le to aae teri chaukhaT tak tere farda ko hum
kitne dana hain laga kar aag sare shahr ko
ek ganga le chale jalti hui lanka ko hum
muztarib hain sare sannaTe ki aawazen banen
rahbaro dabe hain ek patthar tale sahra ko hum
KHak ka zarra guhar ke mol tha bazar mein
jau ke dane ke liye rote hain an-data ko hum
pyas kah kah kar pukaren bich dariya mein khaDe
pani pani kah ke mangen ret se dariya ko hum
dhup agar hoti to tan Dhakna kuchh aasan tha 'shahab'
raushni se chhin lete parda-e-saya ko hum
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 72)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.