sud-o-ziyan ki fikr se begana ban ke ji
sūd-o-ziyāñ kī fikr se begāna ban ke jī
jiine kī aarzū hai to dīvāna ban ke jī
phir aam kar rumūz-e-tajallī ba-rang-e-nau
tū ai kalīm tuur kā afsāna ban ke jī
hai justujū meñ terī tajallī kī har nazar
tū sham.a-e-rū-e-dost kā parvāna ban ke jī
ai fāriġh-e-rusūm-oquyūd-e-ta.ayyunāt
jī aur harīf-e-ka.aba-o-but-ḳhāna ban ke jī
tār-e-nafas ke saaz pe raqsāñ hai zindagī
muhtāj-e-iltifāt-e-masīhā na ban ke jī
marhūn-e-kaifiyāt-e-mai-e-rang-o-bū na ho
begāna-vār sūrat-e-paimāna ban ke jī
koī maqām-e-shauq shikāyat na kar sake
ḳhud-rafta ban ke jī kabhī farzāna ban ke jī
'zamzam' tarīq-e-ishq meñ tajdīd-e-shauq kar
tafsīr-e-ka.aba sharh-e-sanam-ḳhāna ban ke jī
sud-o-ziyan ki fikr se begana ban ke ji
jine ki aarzu hai to diwana ban ke ji
phir aam kar rumuz-e-tajalli ba-rang-e-nau
tu ai kalim tur ka afsana ban ke ji
hai justuju mein teri tajalli ki har nazar
tu shama-e-ru-e-dost ka parwana ban ke ji
ai farigh-e-rusum-oquyud-e-tayyunat
ji aur harif-e-kaba-o-but-KHana ban ke ji
tar-e-nafas ke saz pe raqsan hai zindagi
muhtaj-e-iltifat-e-masiha na ban ke ji
marhun-e-kaifiyat-e-mai-e-rang-o-bu na ho
begana-war surat-e-paimana ban ke ji
koi maqam-e-shauq shikayat na kar sake
KHud-rafta ban ke ji kabhi farzana ban ke ji
'zamzam' tariq-e-ishq mein tajdid-e-shauq kar
tafsir-e-kaba sharh-e-sanam-KHana ban ke ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.