sujhi tadbir na kuchh ranj-o-bala se pahle
sūjhī tadbīr na kuchh ranj-o-balā se pahle
zindagī chhoḌ ga.ī saath qazā se pahle
ye sulagtā huā iflās kā chaḌhtā sūraj
maar Daale na kahīñ garm havā se pahle
āsmāñ par bhī pahuñchnā koī dushvār nahīñ
chāhiye dil meñ taḌap harf-e-duā se pahle
raakh ke Dher tumheñ is kī gavāhī deñge
mujh ko apnoñ ne jalāyā chitā se pahle
pyaar kā naam bhī badnām ho jaa.e 'asar'
tum bujhā do ye diyā tez havā se pahle
sujhi tadbir na kuchh ranj-o-bala se pahle
zindagi chhoD gai sath qaza se pahle
ye sulagta hua iflas ka chaDhta suraj
mar Dale na kahin garm hawa se pahle
aasman par bhi pahunchna koi dushwar nahin
chahiye dil mein taDap harf-e-dua se pahle
rakh ke Dher tumhein is ki gawahi denge
mujh ko apnon ne jalaya chita se pahle
pyar ka nam bhi badnam ho jae 'asar'
tum bujha do ye diya tez hawa se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.