suli pe kitni sadiyon se laTka hua hun main
suulī pe kitnī sadiyoñ se laTkā huā huuñ maiñ
apne lahū kī mauj meñ Duubā huā huuñ maiñ
is tarh us ne mujh ko uchhālā ḳhalāoñ meñ
hastī kī shāhrāh pe bikhrā huā huuñ maiñ
ai vaqt ho sake to kabhī aa ke mujh ko DhūñD
māyūsiyoñ kī dhund meñ khoyā huā huuñ maiñ
ab mujh ko koī aadmī pahchāntā nahīñ
hālāñki apne shahr meñ aayā huā huuñ maiñ
shab-ḳhūñ na maar pā.egī is par tumhārī fauj
is qāfile meñ der se jaagā huā huuñ maiñ
dīvāne aa ke is pe bhī patthar na pheñk deñ
shīshe ke ik makān meñ Thahrā huā huuñ maiñ
sar-chashma-e-nashāt hai 'parvez' ye hayāt
lau ban ke is charāġh se lipTā huā huuñ maiñ
suli pe kitni sadiyon se laTka hua hun main
apne lahu ki mauj mein Duba hua hun main
is tarh us ne mujh ko uchhaala KHalaon mein
hasti ki shahrah pe bikhra hua hun main
ai waqt ho sake to kabhi aa ke mujh ko DhunD
mayusiyon ki dhund mein khoya hua hun main
ab mujh ko koi aadmi pahchanta nahin
haalanki apne shahr mein aaya hua hun main
shab-KHun na mar paegi is par tumhaari fauj
is qafile mein der se jaga hua hun main
diwane aa ke is pe bhi patthar na phenk den
shishe ke ek makan mein Thahra hua hun main
sar-chashma-e-nashat hai 'parwez' ye hayat
lau ban ke is charagh se lipTa hua hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.