sune raste ka safar hai apna
suune raste kā safar hai apnā
ham haiñ aur rāhguzar hai apnā
isī taqsīm pe raazī hue ham
phuul un kā hai sharar hai apnā
ye bhī kyā kam hai ki is maqtal meñ
aaj tak jism pe sar hai apnā
ruuh se ruuTh ke jiinā āḳhir
mo'jiza hai ki hunar hai apnā
duur tak be-sar-o-sāmānī hai
ab Thikāna hai na ghar hai apnā
kitnī ḳhushiyoñ kā lahū hai is meñ
ye jo ik dīda-e-tar hai apnā
isī ḳhush-fahmī ne zinda rakkhā
vo parāyā hai magar hai apnā
kaun hai kis se ye pūchheñ 'rāhī'
ek sahrā hai ki ghar hai apnā
sune raste ka safar hai apna
hum hain aur rahguzar hai apna
isi taqsim pe raazi hue hum
phul un ka hai sharar hai apna
ye bhi kya kam hai ki is maqtal mein
aaj tak jism pe sar hai apna
ruh se ruTh ke jina aaKHir
mo'jiza hai ki hunar hai apna
dur tak be-sar-o-samani hai
ab Thikana hai na ghar hai apna
kitni KHushiyon ka lahu hai is mein
ye jo ek dida-e-tar hai apna
isi KHush-fahmi ne zinda rakkha
wo paraya hai magar hai apna
kaun hai kis se ye puchhen 'rahi'
ek sahra hai ki ghar hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.