suraj agarche tujhko batata nahin hun main
sūraj agarche tujh ko batātā nahīñ huuñ maiñ
din meñ bhī ab charāġh bujhātā nahīñ huuñ maiñ
āvārgān-e-dasht kā kartā huuñ ehtirām
naqsh-e-qadam kisī ke miTātā nahīñ huuñ maiñ
lab par machalte rahte haiñ mere ka.ī savāl
lekin koī savāl uThātā nahīñ huuñ maiñ
aatā hai rashk us ko mirī zindagī pe bas
jis ko bhī apne dard sunātā nahīñ huuñ maiñ
maiñ be-takallufī kā bhī qaa.il to huuñ magar
dīvār-e-ehtirām girātā nahīñ huuñ maiñ
rakkhā huā hai dil meñ tire ġham ko is tarah
is meñ kisī kā ġham bhī milātā nahīñ huuñ maiñ
suraj agarche tujh ko batata nahin hun main
din mein bhi ab charagh bujhata nahin hun main
aawargan-e-dasht ka karta hun ehtiram
naqsh-e-qadam kisi ke miTata nahin hun main
lab par machalte rahte hain mere kai sawal
lekin koi sawal uThata nahin hun main
aata hai rashk us ko meri zindagi pe bas
jis ko bhi apne dard sunata nahin hun main
main be-takallufi ka bhi qail to hun magar
diwar-e-ehtiram giraata nahin hun main
rakkha hua hai dil mein tere gham ko is tarah
is mein kisi ka gham bhi milata nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.