suraj bhi sar pe ho to use saeban kahen
sūraj bhī sar pe ho to use sā.ebāñ kaheñ
ab dasht hī ko aao ham apnā makāñ kaheñ
hoñ ek āsmān-o-zamīñ jis jagah vahāñ
samjheñ kise zamīn kise āsmāñ kaheñ
rindoñ ko mai-kade kī siyāsat se kyā ġharaz
jo bhī pilā.e ham use pīr-e-muġhāñ kaheñ
chup baiTh kar bhī dosto kaTtī kahāñ hai raat
is ḳhāmoshī meñ kyoñ na koī dāstāñ kaheñ
jab vo har ek shai meñ hai jalva-numā to phir
kyā baat hai ki log use be-nishāñ kaheñ
khultā nahīñ ki kaun hamārā harīf hai
aatā nahīñ samajh meñ kise mehrbāñ kaheñ
zarra bhī hai liye hue sahrā kī vus'ateñ
qatra bhī hai vo bahr jise be-karāñ kaheñ
be-sāḳhta nikal to paḌī hai sadā-e-dil
ab log is ko giit kaheñ yā fuġhāñ kaheñ
'ḳhāvar' jab is kī god ke paale hue haiñ ham
phir kyoñ na apne des ko ham apnī maañ kaheñ
suraj bhi sar pe ho to use saeban kahen
ab dasht hi ko aao hum apna makan kahen
hon ek aasman-o-zamin jis jagah wahan
samjhen kise zamin kise aasman kahen
rindon ko mai-kade ki siyasat se kya gharaz
jo bhi pilae hum use pir-e-mughan kahen
chup baiTh kar bhi dosto kaTti kahan hai raat
is KHamoshi mein kyon na koi dastan kahen
jab wo har ek shai mein hai jalwa-numa to phir
kya baat hai ki log use be-nishan kahen
khulta nahin ki kaun hamara harif hai
aata nahin samajh mein kise mehrban kahen
zarra bhi hai liye hue sahra ki wus'aten
qatra bhi hai wo bahr jise be-karan kahen
be-saKHta nikal to paDi hai sada-e-dil
ab log is ko git kahen ya fughan kahen
'KHawar' jab is ki god ke pale hue hain hum
phir kyon na apne des ko hum apni man kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.