sūraj kā shahr shab ke añdhere meñ dhañs gayā
tanhā.iyoñ kā jism bhī daldal meñ phañs gayā
ab rāstoñ pe sang kī bārish ke din ga.e
dīvāna jab se shahr kā jangal meñ bas gayā
tanhā.ī kī saḌak pe kaḌī dhuup dekh kar
ik baar tere qurb kā bādal baras gayā
ab raushnī ke lab pe ḳhamoshī muhīt hai
zahrīlā naag jaise tabassum ko Das gayā
terā ḳhayāl shab ke darīche se kuud kar
pī kar hamārī soch ke hoñToñ kā ras gayā
kāġhaz ke aa.ine bhī yahāñ haiñ dhuāñ-dhuāñ
shāyad hamāre chehre kā chehra jhulas gayā
suraj ka shahr shab ke andhere mein dhans gaya
tanhaiyon ka jism bhi daldal mein phans gaya
ab raston pe sang ki barish ke din gae
diwana jab se shahr ka jangal mein bas gaya
tanhai ki saDak pe kaDi dhup dekh kar
ek bar tere qurb ka baadal baras gaya
ab raushni ke lab pe KHamoshi muhit hai
zahrila nag jaise tabassum ko Das gaya
tera KHayal shab ke dariche se kud kar
pi kar hamari soch ke honTon ka ras gaya
kaghaz ke aaine bhi yahan hain dhuan-dhuan
shayad hamare chehre ka chehra jhulas gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.