suraj ke sath Dub gaya intizar bhi
sūraj ke saath Duub gayā intizār bhī
kitnā karīm hai mirā parvardigār bhī
achchhā hai ḳhud hī toḌ duuñ maiñ rishta-e-umīd
kab jaane kaun chhīn le ye iḳhtiyār bhī
lo aaj duur ho ga.iiñ ḳhush-fahmiyāñ mirī
dene lagā fareb mirā e'tibār bhī
us ne tamām 'umr mujhe bevafā kahā
lekin tamām 'umr rahā mujh se pyaar bhī
andhe kueñ meñ Daal de sūraj-mukhī kā phuul
phir chāñdnī se chhīn le naqsh-o-nigār bhī
shādāb khetiyāñ haiñ farishte liye hue
dariyā kī lahr aa kabhī dariyā ke paar bhī
suraj ke sath Dub gaya intizar bhi
kitna karim hai mera parwardigar bhi
achchha hai KHud hi toD dun main rishta-e-umid
kab jaane kaun chhin le ye iKHtiyar bhi
lo aaj dur ho gain KHush-fahmiyan meri
dene laga fareb mera e'tibar bhi
us ne tamam 'umr mujhe bewafa kaha
lekin tamam 'umr raha mujh se pyar bhi
andhe kuen mein Dal de suraj-mukhi ka phul
phir chandni se chhin le naqsh-o-nigar bhi
shadab khetiyan hain farishte liye hue
dariya ki lahr aa kabhi dariya ke par bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.