Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suraj ki mizan liye ham, wo the barf ki baat liye

Imam Azam

suraj ki mizan liye ham, wo the barf ki baat liye

Imam Azam

MORE BYImam Azam

    sūraj mīzān liye ham, vo the barf baaT liye

    is hālat meñ ham donoñ ne apne jīvan kaaT liye

    ek ghar meñ rahte the ham lekin donoñ anjāne the

    jab is ehsās huā to apne raste paaT liye

    koī gāhak mil jaatā to achchhī qīmat mil jaatī

    biich ḳharīdāroñ ke the ham apne hunar baaT liye

    rājāoñ daur gayā aur saath zamīñ-dārī bhī ga.ī

    lekin gaañv mukhiyā jiitā hai navābī ThaaT liye

    'āzam' is vahshī duniyā meñ ham ne ye bhī dekhā hai

    ḳhuun bahā jo apnoñ vo ḳhuun apnoñ ne chaaT liye

    suraj ki mizan liye ham, wo the barf ki baT liye

    is haalat mein hum donon ne apne jiwan kaT liye

    ek hi ghar mein rahte the hum lekin donon anjaane the

    jab is ka ehsas hua to apne raste paT liye

    koi gahak mil jata to achchhi qimat mil jati

    bich KHaridaron ke the hum apne hunar ki baT liye

    rajaon ka daur gaya aur sath zamin-dari bhi gai

    lekin ganw ka mukhiya jita hai nawabi ThaT liye

    'azam' is wahshi duniya mein hum ne ye bhi dekha hai

    KHun baha jo apnon ka wo KHun apnon ne chaT liye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now