suraj ki tapti dhup ne mara hai in dinon
sūraj kī taptī dhuup ne maarā hai in dinoñ
peḌoñ kī chhāñv kā hī sahārā hai in dinoñ
ham ko bhī dil ke dard ne maarā hai in dinoñ
dard-e-jigar ġhazal meñ utārā hai in dinoñ
ehsās barf barf haiñ dil kī zamīn par
yādoñ kī dhuup kā hī sahārā hai in dinoñ
sūkhe badan kī ḳhaak pe ġham kī phuvār thī
ye hī sabab hai jism meñ gaarā hai in dinoñ
ye ashk ab to pyaas bujhāne lage mirī
ye ābshār apnā sahārā hai in dinoñ
ġham ke thapeḌe biich samundar meñ le ga.e
ḳhushiyoñ kā mujh se duur kināra hai in dinoñ
'sīmā' kī dhaḌkaneñ bhī tumhārī kanīz haiñ
dil par hamāre raaj tumhārā hai in dinoñ
suraj ki tapti dhup ne mara hai in dinon
peDon ki chhanw ka hi sahaara hai in dinon
hum ko bhi dil ke dard ne mara hai in dinon
dard-e-jigar ghazal mein utara hai in dinon
ehsas barf barf hain dil ki zamin par
yaadon ki dhup ka hi sahaara hai in dinon
sukhe badan ki KHak pe gham ki phuwar thi
ye hi sabab hai jism mein gara hai in dinon
ye ashk ab to pyas bujhane lage meri
ye aabshaar apna sahaara hai in dinon
gham ke thapeDe bich samundar mein le gae
KHushiyon ka mujh se dur kinara hai in dinon
'sima' ki dhaDkanen bhi tumhaari kaniz hain
dil par hamare raj tumhaara hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.