suraj ki tarah Dub chuke aur ubhar chuke
sūraj kī tarah Duub chuke aur ubhar chuke
is zindagī meñ ham to ka.ī baar mar chuke
ḳhushiyoñ kā ab hujūm sahī mere aas paas
siine meñ ġhurbatoñ ke to nashtar utar chuke
ab aur log aa.eñ sañvāreñ salīb-o-dār
ham to salīb-o-dār kī had se guzar chuke
dildāriyāñ fuzūl haiñ ai chāra-sāz-e-ġham
zaḳhmoñ kā ab ilaaj na kar zaḳhm bhar chuke
kyā zikr dostoñ kā rafīqoñ kā in dinoñ
ham apne saa.e se bhī ka.ī baar Dar chuke
ab apnī justujū se milegā bhī kyā ki ham
ruk ruk ke saañs ban ke fazā meñ bikhar chuke
merī kahāniyoñ meñ nahīñ jin kā zikr tak
tūfān aise saikḌoñ sar se guzar chuke
'shāhid' ġham-e-zamāna kā ab tak shikār hai
gesū tumhāre kab ke bikhar kar sañvar chuke
suraj ki tarah Dub chuke aur ubhar chuke
is zindagi mein hum to kai bar mar chuke
KHushiyon ka ab hujum sahi mere aas pas
sine mein ghurbaton ke to nashtar utar chuke
ab aur log aaen sanwaren salib-o-dar
hum to salib-o-dar ki had se guzar chuke
dildariyan fuzul hain ai chaara-saz-e-gham
zaKHmon ka ab ilaj na kar zaKHm bhar chuke
kya zikr doston ka rafiqon ka in dinon
hum apne sae se bhi kai bar Dar chuke
ab apni justuju se milega bhi kya ki hum
ruk ruk ke sans ban ke faza mein bikhar chuke
meri kahaniyon mein nahin jin ka zikr tak
tufan aise saikDon sar se guzar chuke
'shahid' gham-e-zamana ka ab tak shikar hai
gesu tumhaare kab ke bikhar kar sanwar chuke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.