suraj kiran ke sine mein jaise saja hua
sūraj kiran ke siine meñ jaise sajā huā
aise hī naam aap kā dil par likhā huā
lahreñ ḳhushī kī uThtī raheñgī kabhī kabhī
gar dil meñ hai sukūñ kā samundar basā huā
toḌā use to ek qayāmat bapā huī
zarre meñ āftāb thā jaise chhupā huā
bas ik tirī nigāh nigāhoñ se kyā milī
sūkhā huā thā naḳhl-e-tamannā harā huā
har aql hai asīr-e-aqīdat banī huī
aur dil to hai sarāpā aqīda banā huā
ai bādbān-e-ishq-e-butāñ le chalā kahāñ
TuuTī ye dil kī naav hai dariyā rukā huā
kahne ko umr bhar thī guzārī jahān meñ
lagtā hai do ghaḌī meñ fasāna havā huā
māñge ke chañd roz the lo ḳhatm ho ga.e
yuuñ zindagī kā qarz 'hidāyat' adā huā
suraj kiran ke sine mein jaise saja hua
aise hi nam aap ka dil par likha hua
lahren KHushi ki uThti rahengi kabhi kabhi
gar dil mein hai sukun ka samundar basa hua
toDa use to ek qayamat bapa hui
zarre mein aaftab tha jaise chhupa hua
bas ek teri nigah nigahon se kya mili
sukha hua tha naKHl-e-tamanna hara hua
har aql hai asir-e-aqidat bani hui
aur dil to hai sarapa aqida bana hua
ai baadban-e-ishq-e-butan le chala kahan
TuTi ye dil ki naw hai dariya ruka hua
kahne ko umr bhar thi guzari jahan mein
lagta hai do ghaDi mein fasana hawa hua
mange ke chand roz the lo KHatm ho gae
yun zindagi ka qarz 'hidayat' ada hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.