suraj ko andheron se nikalne nahin dete
sūraj ko añdheroñ se nikalne nahīñ dete
kuchh log siyah-rāt ko Dhalne nahīñ dete
patthar kī tarah raah meñ aḌ kar vo khaḌe haiñ
ḳhud chalte nahīñ auroñ ko chalne nahīñ dete
muTThī meñ jakaḌ rakkhā hai har mauj-e-ravāñ ko
betāb samundar ko uchhalne nahīñ dete
kar dete haiñ pāband kitāb aur qalam ko
farsūda rivāyāt badalne nahīñ dete
jo nāg-phanī dil meñ ugāte haiñ vahī log
phaldār shajar phūlne phalne nahīñ dete
suraj ko andheron se nikalne nahin dete
kuchh log siyah-raat ko Dhalne nahin dete
patthar ki tarah rah mein aD kar wo khaDe hain
KHud chalte nahin auron ko chalne nahin dete
muTThi mein jakaD rakkha hai har mauj-e-rawan ko
betab samundar ko uchhalne nahin dete
kar dete hain paband kitab aur qalam ko
farsuda riwayat badalne nahin dete
jo nag-phani dil mein ugate hain wahi log
phaldar shajar phulne phalne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.