suraj teri dahliz mein aTka hua nikla
sūraj tirī dahlīz meñ aTkā huā niklā
ye nuqra.ī sikka kahāñ pheñkā huā niklā
ham ne kabhī khīñchā thā jo uñglī se havā par
vo naqsh to dīvār pe likkhā huā niklā
shaam apne tilismāt meñ jakḌī huī aa.ī
chāñd apne ḳhayālāt meñ Duubā huā niklā
vo hashr huā hai ki tire hashr kā manzar
pahle se ka.ī martaba dekhā huā niklā
ik yaad mire zehn meñ bujhtī huī aa.ī
ik chāñd mire khet se TuuTā huā niklā
lalkārā añdhere ne ki ḳhurshīd kahāñ hai
ik diip kahīñ oT se sahmā huā niklā
suraj teri dahliz mein aTka hua nikla
ye nuqrai sikka kahan phenka hua nikla
hum ne kabhi khincha tha jo ungli se hawa par
wo naqsh to diwar pe likkha hua nikla
sham apne tilismat mein jakDi hui aai
chand apne KHayalat mein Duba hua nikla
wo hashr hua hai ki tere hashr ka manzar
pahle se kai martaba dekha hua nikla
ek yaad mere zehn mein bujhti hui aai
ek chand mere khet se TuTa hua nikla
lalkara andhere ne ki KHurshid kahan hai
ek dip kahin oT se sahma hua nikla
- Book : Tamasha (Pg. 196)
- Author : Hassan Shahnawaz Zaidi
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.