surat-e-dilkashi rahi KHwahish-e-zindagi rahi
sūrat-e-dilkashī rahī ḳhvāhish-e-zindagī rahī
dāġh-e-dil-e-ḳharāb se raat meñ raushnī rahī
tere sabhī kulāh-posh koh-e-ġhurūr se gire
apnī to tark-e-sar ke ba.ad ishq meñ bartarī rahī
sātveñ āsmān tak sho.ala-e-ilm-o-aql thā
phir bhī zamīn-e-ahl-e-dil kaisī harī bharī rahī
aap huā hai mundamil gul ne bahār kī nahīñ
shohrat-e-dast-e-chārāgar zaḳhm hī DhūñDhtī rahī
kahte haiñ har adab meñ hai ek sadā-e-bāzgasht
'mīr' ke husn-e-sher se merī ġhazal sajī rahī
surat-e-dilkashi rahi KHwahish-e-zindagi rahi
dagh-e-dil-e-KHarab se raat mein raushni rahi
tere sabhi kulah-posh koh-e-ghurur se gire
apni to tark-e-sar ke baad ishq mein bartari rahi
satwen aasman tak shoala-e-ilm-o-aql tha
phir bhi zamin-e-ahl-e-dil kaisi hari bhari rahi
aap hua hai mundamil gul ne bahaar ki nahin
shohrat-e-dast-e-chaaragar zaKHm hi DhunDhti rahi
kahte hain har adab mein hai ek sada-e-bazgasht
'mir' ke husn-e-sher se meri ghazal saji rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.