surat-e-gardish-e-haalat badalti hi nahin
sūrat-e-gardish-e-hālāt badaltī hī nahīñ
apnī mahrūmī-e-dil hai ki jo Taltī hī nahīñ
dil kā ye haal ki ġham kā na ḳhushī kā ehsās
aur tabī'at kā ye 'ālam ki sañbhaltī hī nahīñ
ik tamanna hai ki ho jaise ragoñ meñ paivast
ek hasrat hai ki jo dil se nikaltī hī nahīñ
ab mirā saath na chhoḌe shab-e-hijrāñ se kaho
kitnī mānūs hai ye raat ki Dhaltī hī nahīñ
aa batā.ūñ tujhe pahchān ḳhulūs-e-dil kī
ye vo mai hai ki jo āñkhoñ se ubaltī hī nahīñ
‘izzat-e-nafs na khonā ye vo nāzuk shai hai
gir ke nazroñ se ye kam-baḳht sañbhaltī hī nahīñ
'bazm' ab us kī vafā se bhī na bahle shāyad
merī āzurda tabī'at ki bahaltī hī nahīñ
surat-e-gardish-e-haalat badalti hi nahin
apni mahrumi-e-dil hai ki jo Talti hi nahin
dil ka ye haal ki gham ka na KHushi ka ehsas
aur tabi'at ka ye 'alam ki sanbhalti hi nahin
ek tamanna hai ki ho jaise ragon mein paiwast
ek hasrat hai ki jo dil se nikalti hi nahin
ab mera sath na chhoDe shab-e-hijran se kaho
kitni manus hai ye raat ki Dhalti hi nahin
aa bataun tujhe pahchan KHulus-e-dil ki
ye wo mai hai ki jo aankhon se ubalti hi nahin
‘izzat-e-nafs na khona ye wo nazuk shai hai
gir ke nazron se ye kam-baKHt sanbhalti hi nahin
'bazm' ab us ki wafa se bhi na bahle shayad
meri aazurda tabi'at ki bahalti hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.