surat-e-ghuncha nahin rakhte hain zar muTThi mein
surat-e-ghuncha nahin rakhte hain zar muTThi mein
Munshi Banwari Lal Shola
MORE BYMunshi Banwari Lal Shola
sūrat-e-ġhuncha nahīñ rakhte haiñ zar muTThī meñ
koī le lo liye phirte haiñ jigar muTThī meñ
haath gar pairahan-e-chust kā mazmūñ aa.e
aisā bāñdhūñ tirī aa jaa.e kamar muTThī meñ
le ke chhū kar diyā dil merā ye mantar kyā thā
hai magar koī to jaadū kā asar muTThī meñ
aqrabā ko na shikāyat na azīzoñ ko gila
kar liyā ġhair ne us shoḳh kā ghar muTThī meñ
haath malte hī rahe ahl-e-qafas duniyā ke
uḌ gayā tā.ir-e-jāñ rah ga.e par muTThī meñ
dast-e-sayyād se phir kyā ho rihā.ī kī umiid
zab.h kartā hai mujhe daab ke par muTThī meñ
haath meñ hai vo safā.ī vo kashish nazroñ meñ
aañkh idhar dil pe paḌī aaya udhar muTThī meñ
haath kyā ham ko dikhāte ho nazar le bhī uḌī
shart ham bāñdhte haiñ dil huā gar muTThī meñ
kyā dur-e-ashk ne ai 'sho.ala' luTā.e motī
dīda-e-tar kī badaulat haiñ guhar muTThī meñ
surat-e-ghuncha nahin rakhte hain zar muTThi mein
koi le lo liye phirte hain jigar muTThi mein
hath gar pairahan-e-chust ka mazmun aae
aisa bandhun teri aa jae kamar muTThi mein
le ke chhu kar diya dil mera ye mantar kya tha
hai magar koi to jadu ka asar muTThi mein
aqraba ko na shikayat na azizon ko gila
kar liya ghair ne us shoKH ka ghar muTThi mein
hath malte hi rahe ahl-e-qafas duniya ke
uD gaya tair-e-jaan rah gae par muTThi mein
dast-e-sayyaad se phir kya ho rihai ki umid
zabh karta hai mujhe dab ke par muTThi mein
hath mein hai wo safai wo kashish nazron mein
aankh idhar dil pe paDi aaya udhar muTThi mein
hath kya hum ko dikhate ho nazar le bhi uDi
shart hum bandhte hain dil hua gar muTThi mein
kya dur-e-ashk ne ai 'shoala' luTae moti
dida-e-tar ki badaulat hain guhar muTThi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.