surat-e-haal hai ab bhi wahi fankar ke sath
sūrat-e-hāl hai ab bhī vahī fankār ke saath
log me.amār ko chun dete haiñ dīvār ke saath
bas yahī soch ke har haal meñ ḳhush rahtā huuñ
kuchh na kuchh sukh bhī mile haiñ mujhe āzār ke saath
apne iḳhlās ko is darja bulandī de do
koī dushman bhī mile jab to mile pyaar ke saath
manziloñ par to pahuñchne kī hai jaldī sab ko
kaun chaltā hai magar vaqt kī raftār ke saath
ab to chubhne pe bhī ehsās nahīñ hotā hai
ham ne ik umr guzārī hai yahāñ ḳhaar ke saath
muntazir huuñ ki laboñ se bhī ho iz.hār koī
un kī āñkhoñ meñ hai iqrār bhī inkār ke saath
ab kahāñ log 'sharāfat' haiñ vo jin ke lab se
phuul jhaḌte the hama-vaqt hī guftār ke saath
surat-e-haal hai ab bhi wahi fankar ke sath
log meamar ko chun dete hain diwar ke sath
bas yahi soch ke har haal mein KHush rahta hun
kuchh na kuchh sukh bhi mile hain mujhe aazar ke sath
apne iKHlas ko is darja bulandi de do
koi dushman bhi mile jab to mile pyar ke sath
manzilon par to pahunchne ki hai jaldi sab ko
kaun chalta hai magar waqt ki raftar ke sath
ab to chubhne pe bhi ehsas nahin hota hai
hum ne ek umr guzari hai yahan KHar ke sath
muntazir hun ki labon se bhi ho izhaar koi
un ki aankhon mein hai iqrar bhi inkar ke sath
ab kahan log 'sharafat' hain wo jin ke lab se
phul jhaDte the hama-waqt hi guftar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.