swang ab tark-e-mohabbat ka rachaya jae
svāñg ab tark-e-mohabbat kā rachāyā jaa.e
us ke pindār ko ā.īna dikhāyā jaa.e
vaz’-dārī-e-mohabbat ke munāfī hai to ho
aaj collar pe nayā phuul sajāyā jaa.e
she'r meñ tazkira-e-dasht-o-bayābāñ ho magar
ik baḌe shahr meñ ghar apnā basāyā jaa.e
balcony vo ka.ī din se hai vīrāñ yaaro
us galī meñ koī hangāma uThāyā jaa.e
sar ye kahtā hai gavārā nahīñ ab bārish-e-sang
dil ye kahtā hai usī kūche meñ jaayā jaa.e
ham hī pīchhe raheñ kyoñ dā’vā-e-jāñ-bāzī meñ
kyā zarūrī hai ki mar kar bhī dikhāyā jaa.e
shā'irī meñ na rahā jazba-o-ehsās ko daḳhl
ab ise qaum kī ḳhidmat pe lagāyā jaa.e
swang ab tark-e-mohabbat ka rachaya jae
us ke pindar ko aaina dikhaya jae
waz’-dari-e-mohabbat ke munafi hai to ho
aaj collar pe naya phul sajaya jae
she'r mein tazkira-e-dasht-o-bayaban ho magar
ek baDe shahr mein ghar apna basaya jae
balcony wo kai din se hai viran yaro
us gali mein koi hangama uThaya jae
sar ye kahta hai gawara nahin ab barish-e-sang
dil ye kahta hai usi kuche mein jaya jae
hum hi pichhe rahen kyon da’wa-e-jaan-bazi mein
kya zaruri hai ki mar kar bhi dikhaya jae
sha'iri mein na raha jazba-o-ehsas ko daKHl
ab ise qaum ki KHidmat pe lagaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.