syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga
syaah shab kī udaas āñkhoñ meñ nuur hogā zarūr hogā
use añdhere se dostī par ġhurūr hogā zarūr hogā
ye marhala bhī hai is masāfat meñ terā rasta kahīñ nahīñ hai
to bañd āñkhoñ se koī rasta zuhūr hogā zarūr hogā
ye rabt TuuTā nahīñ hai āḳhir kahā-sunī se to baat kyā hai
hameñ to lagtā hai zabt kā sab qusūr hogā zarūr hogā
ye rahbarī hai ye rahzanī hai ye kaisī afvāheñ uḌ rahī haiñ
ye ishq sīdhā sā ishq-e-kāmil huzūr hogā zarūr hogā
yahī hai lā-hāsilī hamārī yahī faqat hāsilī rahegī
jab ishq ko hī tū kah rahā hai futūr hogā zarūr hogā
vo ik taḳhallus jo ek va.ade ke chalte ham ne chhupā.e rakkhā
hamārī ġhazloñ se us kā charchā zarūr hogā zarūr hogā
vo ik tasavvur hai jo mayassar hai vasl ho kar sarāpā mujh ko
vo ik tasavvur jo jism hogā to duur hogā zarūr hogā
syah shab ki udas aankhon mein nur hoga zarur hoga
use andhere se dosti par ghurur hoga zarur hoga
ye marhala bhi hai is masafat mein tera rasta kahin nahin hai
to band aankhon se koi rasta zuhur hoga zarur hoga
ye rabt TuTa nahin hai aaKHir kaha-suni se to baat kya hai
hamein to lagta hai zabt ka sab qusur hoga zarur hoga
ye rahbari hai ye rahzani hai ye kaisi afwahen uD rahi hain
ye ishq sidha sa ishq-e-kaamil huzur hoga zarur hoga
yahi hai la-hasili hamari yahi faqat hasili rahegi
jab ishq ko hi tu kah raha hai futur hoga zarur hoga
wo ek taKHallus jo ek wade ke chalte hum ne chhupae rakkha
hamari ghazlon se us ka charcha zarur hoga zarur hoga
wo ek tasawwur hai jo mayassar hai wasl ho kar sarapa mujh ko
wo ek tasawwur jo jism hoga to dur hoga zarur hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.