taawun bhi mila fariyaad-o-ah-o-ashk-bari ka
ta'āvun bhī milā fariyād-o-āh-o-ashk-bārī kā
magar yūñhī kiyā har marhala tai be-qarārī kā
qarā.in se zarā bhī raushnī is par nahīñ paḌtī
ki dil mushtāq kab se thā fazā-e-sogvārī kā
tire shaidā.ī phir bhī jāñ-ba-haq hone ko hāzir haiñ
koī jazba nahīñ is baar garche jāñ-nisārī kā
magar vo saḳht-jāñ qatra bhī āñkhoñ meñ nahīñ aatā
chalan zinda rakhā jaa.e to kaise ġham-gusārī kā
samajh meñ kuchh nahīñ aatā magar dilchaspī qaa.em hai
yahī to kār-nāma hai us albele madārī kā
ta'awun bhi mila fariyaad-o-ah-o-ashk-bari ka
magar yunhi kiya har marhala tai be-qarari ka
qarain se zara bhi raushni is par nahin paDti
ki dil mushtaq kab se tha faza-e-sogwari ka
tere shaidai phir bhi jaan-ba-haq hone ko hazir hain
koi jazba nahin is bar garche jaan-nisari ka
magar wo saKHt-jaan qatra bhi aankhon mein nahin aata
chalan zinda rakha jae to kaise gham-gusari ka
samajh mein kuchh nahin aata magar dilchaspi qaem hai
yahi to kar-nama hai us albele madari ka
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 53)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.